The Cron: Periodical Notifier

Saturday, January 19, 2008

Ek Pal Muskurahat Ka

Ek pal muskarahat ke bina,
lagta hai jaise
ek madhushala bin paimano ki khanak ke,
ek mandir bin aastha ki awaaz ke,
ek saagar bin laharon ke unmaad ke,
aur ek jeevan chalti saanso ke ehsaas ke.

Hawayen tarasti hain,
ki kab teri saanso ki khushboo
unke nas nas ko sarabor kar de,
ki kab teri khilkhilahat,
fizaaon mein sangeet bhar de.
ki tere gaalon ke bhanwar kab,
hawaon ke bawandar ban jayen,
aur tere is deewane ke hosh,
apne saath udaa le jaayen.

Teri rukti muskurahat se,
meri raaton ke sitaare,
chamak kho rahe hain,
aur mera chand gumshuda hai.
tumhi bata do mujhe ki kaise,
kaise main is jeevan ko jee loon jab,
yeh mere yeh nagme,
tere sur ki sangat kho rahe hain.

lauta do woh pal,
woh pal sitaron ki timtim ka
aur gumshuda chaand ki ek jhalak ka.
woh pal mere nagmo ki gunjan ka,
aur woh pal fizaaon mein bikhri khushboo ka.
Lauta do is deewane ke hosh udatee hawayen,
Lauta do, sirf...
Woh ek pal muskurahat ka.

- Cron

Labels: , ,

3 Comments:

Post a Comment

<< Home